Tuesday, July 10, 2007

Koshish...

Koshish to maine bahut ki,
Har shah se najar churane ki.
Par kab tak sham ko gungunata main?
Is raat ko to aana hi tha.

Tumhe bhulane ki har koshish ke sath,
Mera dum ghutataa chala gaya.
Meri har ek saans ke sath,
Tumhari yaad ko to aana hi tha.

Chehre ke maile ki raunak me,
Shayad bahal jata ye dil.
Par un ajnabi mukharaton ke jarokhein me,
Tumhari surat ko to aana hi tha.

Khuli aankhon se duniya thi rangili,
Har rang tha tumhari yadon ke siwa.
Par palak jhapkne ke antraal me,
Tumhe jehan me to aana hi tha.

Har aur bikhar se jate the tum,
Kabhi khushbu kabhi mere khwab ki tarah.
Kab tak suraj ko hatheli se chupata main?
Uski roshni me to tumhe muskarana hi tha.

Muskarate hue har pal khud se ajnabi ki tarah,
Tumhari yaad ko chupata chala gaya.
Kab tak tumhe apne bhitar samata main?
Meri kavita me to tumhe bahar aana hi tha.

Monday, April 23, 2007

Aaj fir...

Aaj phir tumhari yaad dila gaya koi,
Kamosh pade pani me lahar utha gaya koi.
Gumsum tha main apni hi duniya me kahin,
Choti si us duniya ko adhuri bata gaya koi.

Shayad moti ban jati yaadein tumhari, man ki gahrai me,
Samandar ki seep ko bhi jaise pyas jaga gaya koi.
Chun chun ke rakh raha tha kadam jindagi ki rahon me,
Phir mujhe kisi chaurahe par chod gaya koi.

Tinka-tinka jod kar bana raha tha main mahal,
Tumhari yaydon ki aandhi chala gaya koi.
Mujhse na puch kyon bechain hai man mera,
Man ke saare taron ko chu ke gaya hai koi.

Thursday, March 15, 2007

Zindagi

Zindagi muskarati bhi hai,
Aur hoti hai udas bhi.
Najaron se door bhi hai,
Aur dil ke kabhi pass bhi.

Subah ki pahli kiran me,
Mukarati hai zindagi.
Masoom bachpan ke sath,
Khilkhilati hai zindagi.

Barish me jhoomti fasal ke sath,
Lahlahaati hai zindagi.
Dadi maa ke aanchal me kabhi,
Gudgudati hai zindagi.

Jeth ki dhoop me... har majdoor ke sath,
Tapti hai zindagi.
Aur madmast bachpan ke sath,
Bekauf sauti hai zindagi.

Kabhi daulat ke dher pe,
Aham se nachti hai zindagi.
To kabhi bhukhe ki bhukh me,
Har pal bilakhati hai zindagi.

Kisi yauvna ke ghoonghat me,
Sharmati hai zindagi.
To kabhi madira ke pyale se,
Chalak si jati hai zindagi.

Kabhi gali ke har maud par,
Aawaz lagati hai zindagi.
Kabhi muththi bhar ret ki tarah,
Fisal jati hai zindagi.

Kabhi waqt ke sath patte ki tarah,
Ud jati hai zindagi.
Par kisi begane ke liye kabhi,
Thahar si jati hai zindagi.

Zindagi ko dhoondhte dhoondhte,
Khud hi kho jati ahi zindagi.
Samay ke pankh lagakar anth-hin safar par,
Pyasi hi ud jati hai zindagi.

Ek zawab ki talaash me,
Khud hi sawaal ban jati hai zindagi.

Tuesday, February 20, 2007

Meri razdaar hawa

E meri razdaar hawa, tu uske shahar ja.

Jahan rahta hai yaar mera, tu un galiyon me ja.
Bhoola nahi hai woh mujhe, ye pata hai mujhe,
Gumsum hai shayad duniya me, ya kuch unsuljhe sawalon me,
Use dene ek pyar sa dular, tu uske shahar ja.

Agar khoya ho woh, apni hi khushiyon me,
To jagana nahi use, hilana nahi use.
Chura lena woh tasveer, apni inhi aankhon me,
Dene mujhe khusi ka samaachar, tu uske shahar ja.

Bheja hai tumhe maine, use yeh batana nahi tum
Sirf uske kano me koi, dhun pyar si gungunana tum.
Dhoop aati ho chehre pe uske, koi chota sa badal le aana tum,
Usse milane mujhe phir ek baar, tu uske shahar ja.

E meri razdaar hawa, tu uske shahar ja.