Tuesday, July 11, 2006

Na jaane kyon...

Na jaane kyon...
Waqt ruka nahi
Do pal ke liye,
jana tha ise kahin Na jane kyon...

Chalte hi rahe kadam
Shayad kuch chut gaya
Peeche kisi mod par
Pata nahi kya tha woh
Chut gaya jo peeche Na jane kyon...

Sab kuch hokar bhi
Kahin ek adhoorapan
Aksar milta hai
Sawalon ki bheed me.
Ek akelapan mangta hai jawab Na jane kyon...

Kuch badla nahi
Sab kuch badal kar bhi
Woh rahe pukarti rahi
Lekin main chal kar bhi
Pahunch na paya kahin
Manzil thi samne mare par Na jane kyon...

Kuch talashta raha yeh man
Har ek kwhahish me
Kuch unkaha sunne ke liye
Kya tha woh unkaha
Lekin sunna tha mujhe Na jane kyon...

Barish ke dino
Intzar sardi ka
Aur sardi me phir
Intazar barish ka
Bas ek intzar
Shayad har ek baar Na jane kyon...

Kisi khamoshi me
Koi cheekh jata hai
Pata nahi kaun
Na jane kyon.

Talaash

Puchta hai har shaksh haal tera mere haal ke bad,
Kaise kahoon ki aaj kal, hum dono anjaan hai.
Kabhi mahak jati thi teri mukrahat se dil ki jo basti,
Kaise kahoon ki aaj kal, wo basti veeran hai.

Jab jodta hai har shaksh naam tera mere naam ke sath,
Kaise kahoon ki aaj kal, badli waqt ne meri pahchan hai.
Kabhi bhatakti thi jo nazre har waqt teri hi talaash me,
Kaise kahoon ki aaj kal, unki har talaash gumnaan hai.

Yeh hai meri kahani... :)

Aur humne aashiqi farmane ki soch hi li
hanste muskarate jigar pe ghav khane ki soch hi li,
basa liya kisi kamsin ko aankhon me aapni
aur kisi se aankhen char karne ki soch hi li.

Aor humne paya kya aakhir?

aankhen char(4) nahi cheh(6) hui kyonki char to usi ki thi
aankhon me basane ki cancel ki gayi kyonki
isse houseful hone ka khatra tha
uski size se aankhon me crack hone ka dar tha.
phir bhi humne samjhota kiya khud se
aur tar dil ka jod diya usse

yaron ne kaha soorat bhi to dekh yaar
gauri bhi hai, aankhen bhale hi hai char
waisy soorat ki koi jyada buti to nahi
fir dil lagane ki koi majburi to nahi.
gati bhi accha hai, dil ke taar baj uthenge
use gaur se dekh sare khwab jag uthenge,

humne fir dikhayi himmat, bula liya use apne ghar
use pyar se bithaya apne ek matr sofe par
uske baithte hi sofa bhi begana ho gaya
"mati ka tha,fir mati me mil gaya"
humne apne dubte dil ko uthaya
usko uthata to khud ke beth jane ka dar tha

usne swayam hi uthkar paas ke palang par
apna aasan swayam hi jamaya
apne samne mujhe pyara palang ghumta najar aaya
man hi man di use aakhiri vidayi

par palang pyare ne gajab ki himmat dikhayi
muje wo apna sabse wafadaar nazar aaya
jisne mere dil ka sabse bhari bojh uthaya

humne fir social farz nibhaya
'chai naste' ko unka man tatola
wo muskarai, aur kisi mahnge restaurent ka
ek lamba sa menu khola
boli kahi 2-3 nishan laga do
chod do unhe aur baki sab manga do

jaise hi gaane ke liye unhone pancham sur milaya
sunkar use mera ang-ang lahraya
fir kya tha, wo gati gayi aur dheere dheere
anh-ang ke sath pura ghar lahrane laga
kabhi bartan to kabhi pankhe chumne lage dharti ka daaman

hamare ghar ke jameen aasman jab milne ki aatur lage
to humne unse chup rahne ki guzarish ki
aur ye garib kar bhi kya sakta tha?

unhone hamari haalat par taras khaya
apni tashrif ka bhari bharkam tokra uthaya
bijliya gira gaye sanam jate jate
"milungi tumse yuhin aate-jate"

dheere dheera ghadi me saat bajne lage
aur hamare chere pe barah sajne lage
aakhir pdhare pita shri fir kya hua mat puchiye
ishq me dard-e-jigar pane ki sochi thi
kahan kahan dard paya
is dil-e-nadan ne
pahla number hi galat lagaya
aur humne
haseeno ke gaon me jagah
na dhoondhne ki soch hi li

Kaash

Kaash tum ek pyari si muskan hoti
Main tumhe har pal hothon pe sajaa leta,
Kaash tum ek mahka sawan hoti
Main tumme pura bheeg jata.

Kaash tum ek meethi si sargam hoti
Main har pal main tumko gungunata,
Kaash tum ek aasman ka chand hoti
Main bachche ki tarah tumhare liye machal jata.

Kaash tum ek umango ka sagar hoti
Main tumhare andar apne aap ko dubo leta,
Kaash tum ek hawan ka jhonka hoti
Main tumhe apni saanson me bhar leta.

Kaash tum ek pyara sa khwab hoti
Main tumhe apni aankhon me basa leta,
Kaash tum ek khula aasman hoti
Main tumhare andar apne aap ko kho deta,
Kaash tum ek sunahri dhoop hoti
Main tumhe apne aangan me basaa leta.

Par shayad tum, tum nahi hoti,
Tumhe pakar bhi shayad, tumhe kho deta main,
Phir bhi sochata hai dil ki,
Kaash kabhi tum mera armaan hoti.

Tum aawaz to dena.

Jab koi sham gungunane lage
tanhai ki sargam
Jab koi mand hawan ka jhoka
chune lage antarman
Jab tume rulane lage
Purani muskarahte
Jab tumhe yaad aane lage
Hamari koi baate


To us mod par humdum
Tum aawaz to dena.


Jab kabhi tum yaaron sang jhoomo
Bhul jana mujhe
Jab kabhi tum khushiyon ko choomo
Bhul jana mujhe
Par jab kabhi bhar jaye dil
Dard ke mare
Jab kabhi ajnabi lage
Sangi sathi saare


To us mod pe humdum
Tum aawaz to dena.


Main nahi kahta
Milunga tumhe har mod par
Main nahi kahta
Chala aaoonga main daud kar
Main nahi kahta
lauta doonga tumhe har khushi
Main nahi kahta
Hansegi phir wo zindagi


Par us mod par humdum
Tum aawaz to dena
Shayad laut aaoon main
Us aawaz ke sahare
Shayad main bhi kar loon
Prayaas apne saare.

Sunday, May 21, 2006

Main...

Kuch bhoole bachpan ki yaadein dhoondhta jata hoon,
Main khud se churakar apni zindagi jiye jata hoon.

Koi raahi tha shayad, jo nikla hai chukar mera daaman,
Main to paththar ban chuka, waqt ki dhoop sahe jata hoon.

Mujhse na puch pahchaan is shahar ki hawaon ki,
Khud me hi khoya, main to apni dhadkane gine jata hoon.

Na puchna mujhe kaun si gali me hai mera basera,
Har gali ko apna samajh, main to har dagar pe chale jata jata hoon.

Jo kal mila tha tujhse, main nahi koi aur tha shayad woh,
Main to aaine me har roz, ek naye insaan se mile jata hoon.

Monday, May 15, 2006

Main niklu ghar se aur barish ho jaye...

Aaj ek baar fir khuda se gujarish ho jaye,
Main niklu ghar se aur barish ho jaye.
Bahut dino se koi pukar raha hai mujhe,
Aaj ek baar phir mere bachpan se sifarish ho jaye.

Har pal ko sambhal kar thak chuke hai kadam mere,
Bas aaj ek baar girne ki koi sajish ho jaye.
Saaf daaman chubh raha hai aankhon me ek arse se,
Aaj isme kuch gard ki gujarish ho jaye.

Main niklu ghar se aur barish ho jaye...

Duniya ki chamak band na kar de aankhen meri,
Mere hathon me mitti ki kalikh ho jaye.
Waqt ke hathon bandh jaye meri ye dhadkan,
Iske pahle aaj koi gumnaam si tarikh ho jaye.

Main niklu ghar se aur barish ho jaye...

Har raah ki ban chuki hai manzil agar koi,
Phir aaj mere ye kadam gumraah ho jaye.
Kyon sath chalta hai karvan ye yaadon ka,
Raat ko meri sapno se aaj ranjish ho jaye.

Main niklu ghar se aur barish ho jaye....

Wednesday, March 22, 2006

And I was Silent…

We met the first time
As two strangers
Moving on their own way.
You met with a smile
And I was Silent…
Admiring that beautiful smile…

Then we were together
For those beautiful days
You talked about you and all
We did together rise and fall
And I was Silent…
Living those moments full of life…

Then came the day to depart
Nothing was there but broken heart
You said nothing
But some wishes for the future
And I was Silent…
As words were too light for that heavy moment…

Then came the news breaking the sky
You became life of some lucky guy
And there was nothing but silence of the world
You waited for me to speak up my heart
And I was Silent…
Wishing you would have heard voice of my silence…

Wednesday, March 08, 2006

To main kya karoon

Tanhai me teri yaad sataye
To main kya karoon....

Main to bhul gaya tujhko
Par yeh dil na bhool paye
To main kya karoon....

Main to na chala tha
Teri galiyon ki aur
Yeh kadam hi na ruk paye
To main kya karoon....

Bahut samjhaya maine
Apne nadan dil ko
Jab dil bhi mujhe samjhaye
To main kya karoon....

Main to jiye jata hoon
Apni jindagi ko
Jab waqt hi ruk jaye
To main kya karoon...

Bahut roka teri yadon ko
Unki khushbu ko
Par khwab hi mahak jaye
To main kya karoon....

Main to pahle hi ghayal tha
Apni dhadkano ki khanak se
Teri aankhen bhi bol jaye
To main kya karoon....

Yun to na dagmagaye
Mere kadam kabhi
Par rahe hi bahak jaye
To main kya karoon...

Aksar nahi hasta akele me main
Par teri chahat ke asar se
Mere ghum bhi muskaraye
To main kya karoon....

Yun to deewana nahi main
Par teri shararato ke sath
Yeh mausam bhi shararat kar jaye
To main kya karoon....

Bahoot chah kar bhi
Teri chahat na ruk paye
Yeh jadoo badta hi jaye
To main kya karoon....

Meri jeevan sangini

Meri jeevan sangini kuch bolti hai,
Kabhi kahti hai apni dastan,
To kabhi …
Mere man ke kapat kholti hai.

Zindagi ke har mod par
Kadam dar kadam sath chali hai yeh,
Meri har khushi me
Khilkhila kar hasin hai yeh,
Mere har gum me aansooon ban kar bahi hai yeh.

Isne dekha hai mujhe
Bante bikharte,
Isne dekhe hai khwab
Mere sang,
Jode hai humne taar
Kalpana ke
Ek doosre ke sang.

Isne suni hai meri Un-kahi kahaniyan,
Mere un-like prem patr
Isne hi to pahuchaye hai
Meri un-kahi chahat ko.
Isne hi lotaye hai mujhe
Meri zindagi ke kuch pal…
yadon ki surat me.

Meri har burai par
Hasin hai yeh mere sath...Mere antarman par,
Har baar sisak uthi hai yeh
Meri ghayal muskan ke dard se.

Phir kaise chor doon main ise?
Kisike do pal ke sath ke liye.
Shayad woh do pal bhi jab
Mere na ho paye.

Phir kaise chor doon main ise?
Jab khush hai hum
Apne chote se sansaar me,
Main aur Meri tanhai”.

Chalna hai mujhe...

Anjan dagar par
Kabhi to rukega yeh safar
Na jane kis mod par,
Lekin ruk nahi sakta
Chalna hai mujhe...

Har bar yeh raste
Kuch anjan chehre banjate,
Par shayad yeh raste
Mujhe kuch apna sa mante,
Inhi raston ki pahachan ke liye
Chalna hai mujhe...

Kabhi pucha nahi inhone
Kaun hoon main
Puchte to bhi kya batata main,
Apni koi pahchan khojne
Chalna hai mujhe...

Ek rasta ruka kahin
Aur doosra chal pada,
Waqt ki tarah
Jo thaka nahi kabhi,
Sath dene tanha waqt ka
Chalna hai mujhe...

Jab bhi mile hai yeh raste
Daman phela kar,
Har bar sine se lagaya,
Lekin phir bhi phir ek bar
Chalna hai mujhe...

Har rahi ke sath
Milon chale hai yeh,
Par phir bhi
Har bar karte hai intzar,
Kuch kadam sath nibhane
Chalna hai mujhe...

Sirf chalne ke liye har bar
Chalna hai mujhe...

JINDA

Khamoshi ki sard chadar lapete, sahma sa aaj main betha hoon,
Bikhra hoon charon aur to kya, par aaj abhi main jinda hoon.

Dekhi thi teri raah kabhi maine, aaj khush magar main tanha hoon,
Nahi tujhse ab rahi milne ki aas, par aaj abhi main jinda hoon.

Socha tha jee na sakenge tujh bin, par jindagi ne dikhaya wo bhi din,
Sunayi nahi deti dhadkano ki awaz, par aaj abhi main jinda hoon.

Tumhare har pal me diya jisne badkar sath, woh meri pagal chahat thi kahin,
Tanha hai shayad guroor tumhara aaj, par aaj abhi main jinda hoon.

Kabhi mud kar dekh un rahon ko bhi, sath chale the jis par hum,
Dum todti hogi har kadam koi yaad, par aaj abhi main jinda hoon.

Bikhra hoon charon aur to kya, par aaj abhi main jinda hoon.