Sunday, May 21, 2006

Main...

Kuch bhoole bachpan ki yaadein dhoondhta jata hoon,
Main khud se churakar apni zindagi jiye jata hoon.

Koi raahi tha shayad, jo nikla hai chukar mera daaman,
Main to paththar ban chuka, waqt ki dhoop sahe jata hoon.

Mujhse na puch pahchaan is shahar ki hawaon ki,
Khud me hi khoya, main to apni dhadkane gine jata hoon.

Na puchna mujhe kaun si gali me hai mera basera,
Har gali ko apna samajh, main to har dagar pe chale jata jata hoon.

Jo kal mila tha tujhse, main nahi koi aur tha shayad woh,
Main to aaine me har roz, ek naye insaan se mile jata hoon.

Monday, May 15, 2006

Main niklu ghar se aur barish ho jaye...

Aaj ek baar fir khuda se gujarish ho jaye,
Main niklu ghar se aur barish ho jaye.
Bahut dino se koi pukar raha hai mujhe,
Aaj ek baar phir mere bachpan se sifarish ho jaye.

Har pal ko sambhal kar thak chuke hai kadam mere,
Bas aaj ek baar girne ki koi sajish ho jaye.
Saaf daaman chubh raha hai aankhon me ek arse se,
Aaj isme kuch gard ki gujarish ho jaye.

Main niklu ghar se aur barish ho jaye...

Duniya ki chamak band na kar de aankhen meri,
Mere hathon me mitti ki kalikh ho jaye.
Waqt ke hathon bandh jaye meri ye dhadkan,
Iske pahle aaj koi gumnaam si tarikh ho jaye.

Main niklu ghar se aur barish ho jaye...

Har raah ki ban chuki hai manzil agar koi,
Phir aaj mere ye kadam gumraah ho jaye.
Kyon sath chalta hai karvan ye yaadon ka,
Raat ko meri sapno se aaj ranjish ho jaye.

Main niklu ghar se aur barish ho jaye....