Zindagi muskarati bhi hai,
Aur hoti hai udas bhi.
Najaron se door bhi hai,
Aur dil ke kabhi pass bhi.
Subah ki pahli kiran me,
Mukarati hai zindagi.
Masoom bachpan ke sath,
Khilkhilati hai zindagi.
Barish me jhoomti fasal ke sath,
Lahlahaati hai zindagi.
Dadi maa ke aanchal me kabhi,
Gudgudati hai zindagi.
Jeth ki dhoop me... har majdoor ke sath,
Tapti hai zindagi.
Aur madmast bachpan ke sath,
Bekauf sauti hai zindagi.
Kabhi daulat ke dher pe,
Aham se nachti hai zindagi.
To kabhi bhukhe ki bhukh me,
Har pal bilakhati hai zindagi.
Kisi yauvna ke ghoonghat me,
Sharmati hai zindagi.
To kabhi madira ke pyale se,
Chalak si jati hai zindagi.
Kabhi gali ke har maud par,
Aawaz lagati hai zindagi.
Kabhi muththi bhar ret ki tarah,
Fisal jati hai zindagi.
Kabhi waqt ke sath patte ki tarah,
Ud jati hai zindagi.
Par kisi begane ke liye kabhi,
Thahar si jati hai zindagi.
Zindagi ko dhoondhte dhoondhte,
Khud hi kho jati ahi zindagi.
Samay ke pankh lagakar anth-hin safar par,
Pyasi hi ud jati hai zindagi.
Ek zawab ki talaash me,
Khud hi sawaal ban jati hai zindagi.
Thursday, March 15, 2007
Subscribe to:
Posts (Atom)